Ek Pal Mein ( Hattrick - 2007 )

Song Name
: Ek Pal Mein
Movie Name
: Hattrick
Music Director
: Pritam
Music Company
:
Singer
:
Picturised On
:
Song Type
: Un-Categorized
Release Date
Movie Year
: 2007
Views
:


Ek pal ne jaate jaate, aanewaale pal se kaha, tu muskura
Jo tere haathon mein nahi hai unn baaton se hai tu Kyun khafa
ek pal ki har khushi hai, zindagi hai isi pal ki daastaan
Ek pal jo bhule jamin, chhule tere haathon mein hai jo aasmaan
Na is pal ka, na kal ka pata
Na koyi shikava, na abb hai gila
Tere dum se, main har gum se, hasake mila
Na na nna na, na na na na na.....

Yahaan dekhana chaaha apana koyi toh, mujhe Ajnabihi mila
Magar abb talak jo tha sabase paraaya, woh ek mera chehara hi tha
Har aaina hasata raha, abb ja ke main khud se mila
Na is pal ka, na kal ka pata
Na koyi shikava, na abb hai gila
Tere dum se, main har gum se, hasake mila
Na na nna na, na na na na na.....

Chala hoon main raahon mein kitna akele, magar Yeh safar hai naya
Nahi manjilon ki hai koyi fiqar, jabse tu hamsafar Ban gaya
Tu hi safar, tu raasta
Jaana kahaan tere siva
Na iss pal ka, na kal ka pata
Na koyi shikava, na abb hai gila
Tere dum se, main har gum se, hasake mila
Na na nna na, na na na na na.....

Ek pal ne jaate jaate, aanewaale pal se kaha, tu muskura
Jo tere haathon mein nahi hai unn baaton se hai tu Kyun khafa
Ek pal ki har khushi hai, zindagi hai isi pal ki Daastaan
Ek pal jo bhule jamin, chhule tere haathon mein hai jo aasmaan
Na iss pal ka, na kal ka pata
Na koyi shikava, na abb hai gila
Tere dum se, main har gum se, hasake mila
Na na nna na, na na na na na.....