Kaunsi Hai Woh Cheez ( Jaise Ko Taisa - 1973 )

Song Name
: Kaunsi Hai Woh Cheez
Movie Name
: Jaise Ko Taisa
Music Director
: Rahul Dev Burman
Music Company
:
Singer
:
Picturised On
:
Song Type
: Devotional
Release Date
Movie Year
: 1973
Views
:


Kaunsi hai woh cheez jo yahan nahin milti
sab kuch mil jata hai lekn hahn Maa nahin milti

Yaad kisi ho to aisi baat sunaye
jisme kabhi na kabhi Maa ka naam na aaye
duniya me koi aisi dastaan nahin milti
oh sab kuch mil jata hai lekin hahn Maa nahin milti

Jinki Maa hoti hai khush kismat hotey hain
jinki Maa nahin hoti jeevan bar rohtey hain
jism unhey miltey hain lekin jaan nahin milti
oh sab kuch mil jata hai lekin hahn
Maa nahin milti, Maa nahin milti
kaunsi hai woh cheez jo yahan nahin milti
sab kuch mil jata hai lekin hahn
Maa nahin milti