Baalmavaa Naadaan ( Aaram - 1951 )

Song Name
: Baalmavaa Naadaan
Movie Name
: Aaram
Music Director
: Anil Biswas
Music Company
:
Singer
:
Picturised On
:
Song Type
: Sad
Release Date
Movie Year
: 1951
Views
:


baalmavaa naadaan
samajhaaye na samjhe dil ki batiyaan
baalmavaa naadaan, ho naadaan, ho naadaan
balamaa jaa jaa jaa
ab koun tujhe samjhaaye

main chandaa ki chaandani hun,main taaron ki raani
mere matwaale naino se chhalke mast jawaani
in naino ki balmaa tu ne koi qadar na jaani
balamaa jaa jaa jaa
ab koun tujhe samjhaaye

ek raat ki mahfil hai ye jhum le O mastaane
dekh shammaa par aa kar kaise marte hain parwaane
ji ke marnaa, mar ke jeenaa, pagale tu kyaa jaane
balamaa jaa jaa jaa
ab koun tujhe samjhaaye

[LATA : AARAAM : 1951: ANIL BISWAS]