Aisa Zakhm Diya Hai ( Akele Hum Akele Tum - 1995 )

Song Name
: Aisa Zakhm Diya Hai
Movie Name
: Akele Hum Akele Tum
Music Director
: Anu Malik
Music Company
:
Singer
:
Picturised On
:
Song Type
: Sad
Release Date
Movie Year
: 1995
Views
:


--MALE--
Aaya hoon yaaron dil apna deke
Aankhon mein chehraa kisi ka leke
Voh dil ka qaatil dilbar hamaara
Jiske liye main hua aawaara
Milte hi jisne chooma tha mujhko
Phir na palat ke dekha dobaara
Aur isi liye doston maine faislaa kiya
Ke phir kabhi kisi se pyaar nahin karoonga
Kabhi kisi ladki ko apna dil nahin doonga

(Aisa zakhm diya hai jo na phir bharega
Har haseen chehre se ab yeh dil darrega
Hum to jaan dekar yunhi mar mite the
Sun lo ae haseenon, yeh humse ab na hoga) - 2
Aisa zakhm diya hai

Raseele honth, chhalakte gaal
Mastaani chaal buraa kar de haal
Palak bhadke ke dil dhadke
Umar ki uthaan, kadakti kamaal
Qaatil adaa, zaalim hayaa
Mere khudaa, mere khudaa
Shola badan, baheka chaman, magar yaaron
Hum to jaan dekar yunhi mar mite the
Sun lo ae haseenon, yeh humse ab na hoga
Aisa zakhm diya hai jo na phir bharega
Har haseen chehre se ab yeh dil darrega
Hum to jaan dekar yunhi mar mite the
Sun lo ae haseenon, yeh humse ab na hoga
Aisa zakhm diya hai

Raseele honth, chhalakte gaal
Mastaani chaal buraa kar de haal
Palak bhadke, hai, ke dil dhadke
Umar ki uthaan, kadakti kamaal
Qaatil adaa, zaalim hayaa
Mere khudaa, o mere khudaa
Tu jo kahe to taaron mein tujhe lekar chaloon
Tu jo kahe to kadmon mein unhe la daal doon
Seene se lagaake yeh badan kar doon gulaabi
Chehra choom karke main banaa doon aaftaabi
Hey hey, la la la la, la
Hum to jaan dekar tumpe mar mite hain
Kaun pyaar tumse itna karega
Aisa zakhm diya hai jo na phir bharega
Har haseen chehre se ab yeh dil darrega
Aisa zakhm diya hai

Aaya hoon yaaron dil apna leke
Aankhon mein chehraa kisi ka leke
Koi na koi mera bhi hoga
Yahin pe kahin chhupaa hi hoga