Bahut Din Hue, Samaa Al-bela ( Anuradha - 1960 )

Song Name
: Bahut Din Hue, Samaa Al-bela
Movie Name
: Anuradha
Music Director
: Pandit Ravi Shankar
Music Company
:
Singer
:
Picturised On
:
Song Type
: Happy
Release Date
Movie Year
: 1960
Views
:


-----------------------------------------------------------
Mahendra:
bahut din hue taaron ke desh men
chanda ki nagariya men rahate the ik raaja
baj raha tha dur-dur un ki jay ka baaja
baithe the partaapi raaja vaise un ki raani
jaisa roop rang paaya vaisi gyaani-daani
donon ki dulaari ik bitiya thi pyaari
phul jaisi naazuk thi vo naam tha phul kumaari

andhi taqadir ne andher kiya bhaari
chhini us ke honthon se hansi vo pyaari pyaari
phul kumaari bhul gai hansana muskuraana
lut liya bhaag ne khushi ka vo khazaana

magar ye kaun, ye kaisi aawaaz ?

M.Dey:
leke dil ka saaz ham geet gaane aa gaye
he, dil ke kaliyon ne kaha din suhaane aa gae

gham ke baadal hat gae khul gaya nila gagan
har kali ko pyaar se chhu gai suraj kiran
muskura lo jhum lo o zamaane aa gaye
leke dil ka saaz ham geet gaane aa gae

Lata:
sama al-bela, din hain milan ke
preet leke aae dekho meet mere man ke

piya-piya gaaye jiya, naache man mora
meri un ki jodi jaise chaand aur chakora
nainon men chhupaaye phirun sapane sajan ke
sama al-bela.....

jinhen mainne dil diya vo bhi rahe mere
man men manaaun main saanjh aur savere jite ji na tootegi ye bandhan jivan ke
sama al-bela...

Mahendra:
jaise un ke achhe din phir se laut aae
maalik aise sab ki sune sab ke din lautaae

-----------------------------------------------------------