Aye Mere Watan Ke Logo ( Aye Mere Watan Ke Logo - 1963 )
Song Name |
: Aye Mere Watan Ke Logo |
Movie Name |
: Aye Mere Watan Ke Logo |
Music Director |
: C. Ramchandra |
Music Company |
: |
Singer |
: |
Picturised On |
: |
Song Type |
: Patriotic |
Release Date |
: |
Movie Year |
: 1963 |
Views |
: |
Aye mere watan ke logon
tum khub lagaa lo naaraa
ye shubh din hai hum sab kaa
leharaa lo tirangaa pyaaraa
par mat bhulo siimaa par
veeron ne hai praan ganwaae
kuchh yaad unhein bhi kar lo
kuchh yaad unhein bhi kar lo
jo lauT ke ghar na aaye
jo lauT ke ghar na aaye
Aye mere watan ke logon
zaraa aankh mein bhar lo paani
jo shahid hue hain unki
zaraa yaad karo qurbaani
jab ghaayal hua himaalay
khatare mein padi aazaadi
jab tak thi saans ladhe wo
phir apani laash bichhaa dii
sangiin pe dhar kar maathaa
so gaye amar balidaani
jo shahid hue hain unki
zaraa yaad karo qurbaani
jab desh mein thi diwaali
wo khel rahe the holi
jab hum baithe the gharon mein
wo jhel rahe the goli
the dhanya jawaan wo aapane
thi dhanya wo unki jawaani
jo shahid hue hain unki
zaraa yaad karo qurbaani
koi sikh koi jaat maraatha
koi gorkhaa koi madaraasi
sarhad pe marane waalaa
har veer thaa bhaaratvaasi
jo khoon giraa parvat par
Wo khoon thaa Hindustaani
jo shahid hue hain unki
zaraa yaad karo qurbaani
thi khoon se lath pat kaayaa
phir bhi bandhuk uthaake
dus dus ko ek ne maaraa
phir gir gaye hosh ganwaa ke
jab ant samay aayaa to
keh gaye ke ab marte hain
khush rehanaa desh ke pyaaron
ab hum to safar karte hain
kyaa log the wo deewaane
kyaa log the wo abhimaani
jo shahid hue hain unki
zaraa yaad karo qurbaani
tum bhool naa jaao unko
is liye kahi ye kahaani
jo shahid hue hain unki
zaraa yaad karo qurbaani
jay hind... jay hind ki senaa
jay hind... jay hind ki senaa
jay hind, jay hind, jay hind