Mein yaha tu waha ( Baghban - 2003 )

Song Name
: Mein yaha tu waha
Movie Name
: Baghban
Music Director
: ismail darbar
Music Company
:
Singer
:
Picturised On
:
Song Type
: Sad
Release Date
Movie Year
: 2003
Views
:


Mein yahaan Tu waha
Zindagi hain kaha,
Mein yahaan Tu waha
Zindagi hain kaha
Tu hi tu hain sanam dekhta hoon jahan,
Neend aati nahi yaad jaati nahi Bin tere jiye jaaye naa.

Teri surat ab ek pal
Kyun nazar se hatti nahi,
Raat din toh kat jaate hain Umr tanha katti nahi,
Chahke bhi na kuch keh saku tujhse mein
Dard kaise karoon mein bayaan.

Mein yahaan tu waha
Zindagi hain kaha.......

jab kahin bhi aahat hui,
yun laga ki tu aagaya khusbu oan ke jhoke ki tarah
Meri saasein mehka gaya,
ek woh daur tha hum sada paas the,
ab toh hain faasle darmiyaan.

Mein yaha tu waha,
Zindagi hain kaha......

Beetein baatein yaad aati hain,
Jab akela hota hoon mein,
Bolti hain khamoshiyaan ,
Sabse chupke rota hoon mein,
ek arsaa hua muskuraaen hue,
aasoon oan mein dhali daastaan.

Mein yaha tu waha Zindagi hain kaha.....