Haath Me Jaam Na Lu ( Bandie - 1978 )
Song Name |
: Haath Me Jaam Na Lu |
Movie Name |
: Bandie |
Music Director |
: Shayamal Mitra |
Music Company |
: |
Singer |
: |
Picturised On |
: |
Song Type |
: Sharaabi/Nasha |
Release Date |
: |
Movie Year |
: 1978 |
Views |
: |
Haath me jaam na lu, jaam ka naam na lu
roop amrit jo miley, zaher se kaam na lu
haath me jaam na lu
Kisi payal ki sada, kisi anchal ki hava
zinda rakhey hai mujhey, apsaraon ki ada
na ho gulfam agar, jeena ka naam na lu
roop amrit jo miley, zaher se kaam na lu
haath me jaam na lu
Jo khuda poochey mujhey, kya hai sarkar tujhey
mangu bus husn ka de yunhi deedar mujhey
main toh saakhee ke siva koi inaam na lu
roop amrit jo miley, zaher se kaam na lu
haath me jaam na lu
Taqt aur taaz sabhi lagtey hai jhoot mujhey
oonchey mahalon ki chamak lagti hai loot mujhey
haseen pahelu jo miley, kahin aaram na lu
roop amrit jo miley, zaher se kaam na lu
haath me jaam na lu, jaam ka naam na lu
roop amrit jo miley zaher se kaam na lu
Picturized on Uttam Kumar and Bindu