Chal Ud Ja Re Panchhi ( Bhabhi - 1957 )
Song Name |
: Chal Ud Ja Re Panchhi |
Movie Name |
: Bhabhi |
Music Director |
: Chitragupt |
Music Company |
: |
Singer |
: |
Picturised On |
: |
Song Type |
: Sad |
Release Date |
: |
Movie Year |
: 1957 |
Views |
: |
[Singer:- Mohammad Rafi]
chal ud jaa re panchhi (2) ki ab ye des hua begaana
chal ud jaa re panchhi....................
khatam hue din us daali ke, jis par tera basera tha/-2
aaj yahaan aur kal ho vahaan ye, jogi vaala phera tha,
ye teri jaageer nahin thi,
ye teri jaageer nahin thi, chaar ghadi ka dera tha
sada raha hai is duniya men kis ka aab-o-daana
chal ud jaa re panchhi..................
tune tinaka-tinaka chun kar, nagari ek basaai /-2
baarish men teri bhigi pankhe, dhoop men garami khaai
gham na kar ,
gham na kar jo teri mehanat tere kaam na aai
achchha hai kuchh le jaane se, dekar hi kuchh jaana
chal ud jaa re panchhi............... PART-II
chal ud jaa re panchhi /-2
ke ab ye des huva begaana
chal ud jaa re panchhi............
bhool ja ab vo mast hava, vo udana daali-daali /-2
jag ki aankh kaanta ban gai, chaal teri matavaali
kaun bhala us baag ko poochhe,
kaun bhala us baag ko poochhe, ho na jis ka maali
teri qismat men likha hai, jite ji mar jaana
chal ud jaa re panchhi.............
rote hain vo pankh-pakheru, saath tere jo khele /-2
jin ke saath lagaaye tune aramaanon ke mele
bhigi aankhiyon se hi un ki, aaj duaayen le le
kis ko pata ab is nagari men kab ho tera aana
chal ud jaa re panchhi.............
****************************************