Tera Khayaal Dil Se ( Dillagi - 1949 )

Song Name
: Tera Khayaal Dil Se
Movie Name
: Dillagi
Music Director
: Naushad
Music Company
:
Singer
:
Picturised On
:
Song Type
: Sad
Release Date
Movie Year
: 1949
Views
:


[ Singer:- Suraiyya ]

( tera khayaal dil se bhulaaya na jaayega
ulfat ki zindagi ko mitaaya na jaayega ) -2

( majabuuriyon ne chhin li mujh se agar zubaan
mujh se agar zubaan ) -2
aansu kahenge
( aansu kahenge dil ke ujadane ki daastaan
ujadane ki daastaan ) -2
aankhon se haal dil ka chhupaaya na jaayega

ulfat ki zindagi ko mitaaya na jaayega
tera khayaal dil se bhulaaya na jaayega
ulfat ki zindagi ko mitaaya na jaayega

( looto na duniya waalo mere dil ki tum khushi
mere dil ki tum khushi ) -2
achchhi nahin hai haay
( achchhii nahin hai, haay Garibon se dillagi
Garibon se dillagi ) -2
ye ghar ujad gaya to basaaya na jaayega

ulfat ki zindagi ko mitaaya na jaayega
tera khayaal dil se bhulaaya na jaayega
ulfat ki zindagi ko mitaaya na jaayega
******************************************