Do Gahdi Vo Jo Paas Aa Baithe ( Gateway of India - 1957 )

Song Name
: Do Gahdi Vo Jo Paas Aa Baithe
Movie Name
: Gateway of India
Music Director
: Madan Mohan
Music Company
:
Singer
:
Picturised On
:
Song Type
: Happy
Release Date
Movie Year
: 1957
Views
:


Singers: Aasha & Rafi

Rafi : do ghadi vo jo paas aa baithe ham zamaane se door ja baithe Aasha : do ghadi vo jo paas aa baithe ham zamaane se door ja baithe Rafi : (bhul ki un ka hamnashin ho ke royenge dil ko umr bhar kho ke) - 2
haay! kya cheez thi ganvaa baithe do ghadi vo jo paas............

Aasha : (dil ko ek din zarur jaana tha vahi pahuncha jahaan thikaana tha ) - 2 dil vahi dil jo dil men ja baithe
do ghadi vo jo paas............

Rafi : (ek dil hi tha gham-gusaar apana meharabaan, khaas raaz-daar apana ) - 2
gair ka kyon ise bana baithe do ghadi vo jo paas............

Aasha : (gair bhi to koi hasin hoga dil yun hi de diya nahin hoga ) - 2
dekh kar kuchh to dil laga baithe
do ghadi vo jo paas............

Both: do ghadi vo jo paas aa baithe ham zamaane se door ja baithe ***********************************************