Jaane Kya Haal Ho ( Maa Ka Aanchal - 1970 )

Song Name
: Jaane Kya Haal Ho
Movie Name
: Maa Ka Aanchal
Music Director
: Madan Mohan
Music Company
:
Singer
:
Picturised On
:
Song Type
: Un-Categorized
Release Date
Movie Year
: 1970
Views
:


Jaane Kyaa Haal Ho Kal Shiishe Kaa Paimaane Kaa
Aaj Dar ChoD Chalaa Hai Koii Maikhaane Kaa
Jaane Kyaa Haal Ho

Haath Tharraane Lage, Jaam Giraa Tuut Gayaa
Ye Koii Vaqt Na Thaa Aap Ke Yaad Aane Kaa
Jaane Kyaa Haal Ho

Phir Na Sharamaaoge Tum Apanii Kahaanii Sun Ke
Dard ThodAa Saa Milaa Lo Mere Afasaane Kaa
Jaane Kyaa Haal Ho

Bevafaaii Kaa Gilaa Sun Ke HaNsi Aatii Hai
DhuuNdhiye Aur Bahaanaa Koii TaDapaane Kaa

Jaane Kyaa Haal Ho Kal Shiishe Kaa Paimaane Kaa
Aaj Dar ChoD Chalaa Hai Koii Maikhaane Kaa