Abhi Shaam Aayegi ( Samaadhi - 1950 )

Song Name
: Abhi Shaam Aayegi
Movie Name
: Samaadhi
Music Director
: Ghulam Mohammad
Music Company
:
Singer
:
Picturised On
:
Song Type
: Sad
Release Date
Movie Year
: 1950
Views
:


[singer:-Lata]

aa
( abhi shaam aayegi, nikalenge taare
magar tum na hoge ) -2
pukaarenge ro-ro ke tum ko nazaare
magar tum na hoge

aa
tumhaara pata chaand poochhega mujh se
to main kya kahungi
chhupa lungi mukhada, jhuka lungi aankhe
magar chup rahungi
( tumhaari shiqaayat karenge sitaare
magar tum na hoge ) -2
abhi shaam aayegi nikalenge taare
magar tum na hoge

aa
chalengi agar thandi thandi havaayen
sataayengi mujh ko
kahin dur bansi ki mithi sadaayen
rulaayengi mujh ko
( main dhoondhungi tum ko, o mere sahaare
magar tum na hoge ) -2
abhi shaam aayegi nikalenge taare
magar tum na hoge

******************************************