Dekho Na ( Swades - 2004 )
Song Name |
: Dekho Na |
Movie Name |
: Swades |
Music Director |
: A.R.Rehman |
Music Company |
: |
Singer |
: |
Picturised On |
: |
Song Type |
: Happy |
Release Date |
: |
Movie Year |
: 2004 |
Views |
: |
Alka:
Umm..hmm
hmm
hmm
Umm..hmm
dekho na, zara dekho na
Tum ho main hoon aur ye tanhaaiyaan hai
Dekho na, zara dekho na
Kaisi narm si ye parchhaaiyaan hai
Suno zara, suno zara, dhadkanon ki sada
Suno zara, suno zara, geet khaamoshi ka
Suno zara, suno zara, kehti hai
raat kya Udit:
Raat hai leke aayi, kitne armaan anjaane
Kehti hai sau afsaane, sunta hoon main
Raat ne li angdaai, anhoni baat hai hoti
Bikhre hai jaise moti chunta hoon main
Tumne, ye kya keh diya
Meri aankhon mein diye hai jaise jal gaye
Tumne ye kya keh diya
Meri raaton ke andhere jaise dhhal gaye Alka:
Tumse hi toh milke maine jaana hai Sapne kya hote hain ho Tumse hi toh milke maine jaana hai
Dil kaise kho-te hain oh.. Udit:
Chaandni se pyaari mujhko, in palkon ki chhaaon
Tumne basaaya mere dil mein, ik sapnon ka gaaon Alka:
Tumne mujhko chaaha toh
Mausam rang chhalkaata hai
Har pal jee ab gaata hai mere liye Udit:
Tumne mujhko chaaha toh
Jeevan ki saari raahein Khole hain apni baahein mere liye Alka:
Dekho na, zara dekho na Tum ho main hoon aur ye tanhaaiyaan hai
Dekho na, zara dekho na
Kaisi narm si ye parchhaaiyaan hai Udit:
Hmm
tum bin din sune the raatein suni thi
Viraani thi chhaayi oh
Ab jaise din chamke raatein mehki hai
Tum ho jo hamraahi oh
Alka:
Tum bin jaise main thi adhoori
Poori ho gayi hoon main
Tumko paake jag paaya hai
Par khud kho gayi hoon main Udit:
Ham dono ne ab jaana, jeene ka matlab kya hai Alka:
Pehle kya thi ab kya hai, ye zindagi Udit:
Ham dono ne ab jaana, duniya kitni pyaari hai Alka:
Paayi kitni saari hai, hamne khushi Udit:
Dekho na, zara dekho na
Tum ho main hoon aur ye tanhaaiyaan hai
Dekho na, zara dekho na
Kaisi narm si ye parchhaaiyaan hai Alka:
Suno zara, suno zara, dhadkanon ki sada
Suno zara, suno zara, geet khaamoshi ka
Suno zara, suno zara, kehti hai
raat kya