Mout Kitani Bhi Sangdil Ho ( Aaj Aur Kal - 1963 )
Song Name |
: Mout Kitani Bhi Sangdil Ho |
Movie Name |
: Aaj Aur Kal |
Music Director |
: Ravi |
Music Company |
: |
Singer |
: |
Picturised On |
: |
Song Type |
: Sad |
Release Date |
: |
Movie Year |
: 1963 |
Views |
: |
[singer;-Aasha Bhonsle]
mout kitani bhi sangdil ho magar
zindagi se to meharbaan hogi
nit naye rang dil ko deti hai, zindagi har khushi ki dushman hai
mout sab se nibaah karti hai, zindagi, zindagi ki dushman hai
kuchh na kuchh to sakuun paaye gaa
mout ke bas main jis ki jaan hogi
mout kitani bhi sangdil ho magar
zindagi se to meharbaan hogi
rang aur nasl, naam aur doulat, zindagi kitane farq maanati hai
mout had-bandiyon se oonchi hai, saari duniya ko ek jaanati hai
jin usoolon pe mar rahe hai hum
oon usoolon ki qadardaan hogi
mout kitani bhi sangdil ho magar
zindagi se to meharbaan hogi
mout se aur kuchh mile na mile, zindagi se to jaan chhutegi
muskuraatat naseeb ho ke na ho, aansoon ki ladi to tutegi
hum na honge, to ghum kise hoga
khatm har gum ki daastaan hogi
mout kitani bhi sangdil ho magar
zindagi se to meharbaan hogi