Jawani O Diwanic ( Aan Milo Sajna - 1970 )

Song Name
: Jawani O Diwanic
Movie Name
: Aan Milo Sajna
Music Director
: Laxmikant Pyarelal
Music Company
:
Singer
:
Picturised On
:
Song Type
: Un-Categorized
Release Date
Movie Year
: 1970
Views
:


Yahaa.n vahaa.n saare jahaa.n me.n teraa raaj hai
tere hii to sar pe muhabbat kaa taaj hai
javaanii o diivaanii tuu zi.ndaabaad
javaanii o diivaanii tuu zi.ndaabaad
Tuu bahaaro.n kaa ishaaraa
besahaaro.n kaa sahaaraa
sar pe tere, haa.n haa.n tere hai bojh saaraa
tere javaa.n haatho.n me.n duniyaa kii laaj hai
javaanii o diivaanii tuu zi.ndaabaad ...
Tere liye kasame.n nahii.n
kasame.n nahii.n rasame.n nahii.n
tuu kisii ke, haa.n kisii ke bas me.n nahii.n
judaa sabhii rasamo.n se teraa har rivaaz hai
javaanii o diivaanii tuu zi.ndaabaad ...
Piichhe hai bachapan diivaanaa
aage bu.dhaapaa sayaanaa
saath tere, haa.n haa.n tere hai ye zamaanaa
terii nazar to chaa.nd taaro.n pe aaj hai
javaanii o diivaanii tuu zi.ndaabaad ...