Dard Bhara Dil ( Baradari - 1955 )

Song Name
: Dard Bhara Dil
Movie Name
: Baradari
Music Director
: Naashaad
Music Company
:
Singer
:
Picturised On
:
Song Type
: Sad
Release Date
Movie Year
: 1955
Views
:


..........................................................................
[singer:-Lata Mangeshkar]

dard bhara dil bhar-bhar aaye, bhar-bhar aaye, ho

dard bhara dil bhar-bhar aaye,
sabr ka daaman chhoot na jaaye, ho, dard bhara dil

laaj wafa ki kaise bachaaun
dil se main kitana un ko bhulaaun
aur bhi un ki yaad sataaye
sabr ka daaman chhoot na jaaye
dard bhara dil.....

ho gaye tukade mere dil ke
reh gaye aramaan khaaq men mil ke
khoob maze ulfat ke uthaaye
sabr kaa daaman chhoot na jaaye
dard bhara dil....

aah na karana, aansu peena
khel nahin mar-mar ke jeena
jaise kaleja nikala aaye
sabr ka daaman chhoot na jaaye
dard bhara dil....
.........................................................................