Badi Mushqil Se ( Naghma - 1953 )
Song Name |
: Badi Mushqil Se |
Movie Name |
: Naghma |
Music Director |
: Naashaad |
Music Company |
: |
Singer |
: |
Picturised On |
: |
Song Type |
: Happy |
Release Date |
: |
Movie Year |
: 1953 |
Views |
: |
badi mushqil se dil ki beqaraari ko qaraar aaya
badi mushqil se
badi mushqil se dil ki beqaraari ko qaraar aaya
ke jis zaalim ne tadapaaya, usi par mujh ko pyaar aaya
badi mushqil se
badi mushqil se dil ki beqaraari ko qaraar aaya
badi mushqil se
iraade chhutane waale na aramaan tootane waale (2)
mujhe tujh par yaqeen hain ai meraa dil lootane waale(2)
tujhe meri muhabbat
tujhe meri muhabbat ka na ab tak aitabaar aaya
badi mushqil se
badi mushqil se dil ki beqaraari ko qaraar aaya
badi mushqil se
muhabbat raaz hai ye raaz baaton men na khul jaaye(2)
bahut roka bahut chaaha na lab par dil ki baat aaye (2)
magar phir bhi tumhaara
magar phir bhi tumhaara naam lab par baar-baar aaya
badi mushqil se
badi mushqil se dil ki beqaraari ko qaraar aaya
ke jis zaalim ne tadapaaya, usi par mujh ko pyaar aaya
badi mushqil se
kisi surat se baaqi zindagi ke din bhi kat jaayen (2)
ghadi bhar ke liye ai qaash wo ghadiyaan palat aayen (2)
wo ghadiyaan jo mera dil
wo ghadiyaan jo mera dil teri mahafil men guzaar aaya
badi mushqil se
badi mushqil se dil ki beqaraari ko qaraar aaya
ke jis zaalim ne tadapaaya, usi par mujh ko pyaar aaya
badi mushqil se
*******************************
बड़ी मुश्क़िल से दिल की बेक़रारी को क़रार आया
बड़ी मुश्क़िल से
बड़ी मुश्क़िल से दिल की बेक़रारी को क़रार आया
के जिस ज़ालिम ने तड़पाया, उसी पर मुझ को प्यार आया
बड़ी मुश्क़िल से
बड़ी मुश्क़िल से दिल की बेक़रारी को क़रार आया
बड़ी मुश्क़िल से
इरादे छूटने वाले ना अरमाँ टूटने वाले -२
मुझे तुझ पर यक़ीं हैं ऐ मेरा दिल लूटने वाले -२
तुझे मेरी मुहब्बत
तुझे मेरी मुहब्बत का न अब तक ऐतबार आया
बड़ी मुश्क़िल से
बड़ी मुश्क़िल से दिल की बेक़रारी को क़रार आया
बड़ी मुश्क़िल से
मुहब्बत राज़ है ये राज़ बातों में न खुल जाये -२
बहुत रोका बहुत चाहा न लब पर दिल की बात आये -२
मगर फिर भी तुम्हारा
मगर फिर भी तुम्हारा नाम लब पर बार-बार आया
बड़ी मुश्क़िल से
बड़ी मुश्क़िल से दिल की बेक़रारी को क़रार आया
के जिस ज़ालिम ने तड़पाया उसी पर मुझ को प्यार आया
बड़ी मुश्क़िल से
किसी सूरत से बाक़ी ज़िन्दगी के दिन भी कट जायें -२
घड़ी भर के लिये ऐ क़ाश वो घड़ियाँ पलट आयें -२
वो घड़ियाँ जो मेरा दिल
वो घड़ियाँ जो मेरा दिल तेरी महफ़िल में गुज़ार आया
बड़ी मुश्क़िल से
बड़ी मुश्क़िल से दिल की बेक़रारी को क़रार आया
के जिस ज़ालिम ने तड़पाया उसी पर मुझ को प्यार आया
बड़ी मुश्क़िल से
----------------------------
[submitted on 19-Dec-2008]