Kaise Baje Dil Ka Sitaar ( Chaandani Raat - 1949 )

Song Name
: Kaise Baje Dil Ka Sitaar
Movie Name
: Chaandani Raat
Music Director
: Naushad
Music Company
:
Singer
:
Picturised On
:
Song Type
: Sad
Release Date
Movie Year
: 1949
Views
:


[Singers:- Shamshad Begum & Mohammad Rafi]

shamshad: nigaahen ruk gain haay kahaan par
tadap kar rah gaya naghama zubaan par
rafi: dhuan sa uth raha hai aasamaan par
giri bijali kisi ke aashiyaan par

shamshad: kaise baje dil ka sitaar
thens lagi toot gaye taar
rafi: beeta hua jiwan ka pyaar
haay koi aaj gaya haar

shamshad: ( dil kahin, aawaaz kahin
naghama kahin saaz kahin ) -2
rafi: dekh ye ghabaraai nazar -2
khol na de raaz kahin -2
shamshad: o
aaj kahe dil baar-baar
naiya meri kaise lage paar

rafi: ( dil men chhupaaye huye gham
kaise rahun, rah na sakun
shamshad: toot pade mujh pe sitam
aur main kuchh kah na sakun ) -2
rafi: o
geet men hai dil ki pukaar
gaaye ja tu saajan ke dwaar

*****************************************