Khabar Kya Thi Ke Gham ( Chaandani Raat - 1949 )
Song Name |
: Khabar Kya Thi Ke Gham |
Movie Name |
: Chaandani Raat |
Music Director |
: Naushad |
Music Company |
: |
Singer |
: |
Picturised On |
: |
Song Type |
: Sad |
Release Date |
: |
Movie Year |
: 1949 |
Views |
: |
[Singers:- Shamshad Begum & Mohammad Rafi]
rafi : khabar kya thi ki gham khaana padega
muhabbat kar ke pachhataana padega
shamshad: wafaaon par sitam dhaana padega
hamen un se bichhad jaana padega
rafi : na dekha jaayega khoon-e-tamanna -2
teri mahafil se ab jaana padega
khabar kya thi ki gham khaana padega
muhabbat kar ke pachhataana padega
shamshad: na tha maalum aayenge ye din bhi -2
kabhi rona, kabhi gaana padega
wafaaon par sitam dhaana padega
hamen un se bichhad jaana padega
rafi : bhula de, haan bhula de yaad un ki -2
yehi ab dil ko samajhaana padega
khabar kya thi ki gham khaana padega
muhabbat kar ke pachhataana padega
shamshad: na nikalenge agar, aramaan dil ke -2
yun hi ghoot-ghoot ke mar jaana padega
wafaaon par sitam dhaana padega
hamen un se bichhad jaana padega
*****************************************