Teri Chamakati Aankhon Ke ( Chhote Babu - 1957 )
Song Name |
: Teri Chamakati Aankhon Ke |
Movie Name |
: Chhote Babu |
Music Director |
: Madan Mohan |
Music Company |
: |
Singer |
: |
Picturised On |
: |
Song Type |
: Love Song |
Release Date |
: |
Movie Year |
: 1957 |
Views |
: |
lata: aa.. aa.. aa.. aa
talat: teri chamakati aankhon ke aage ye sitaare kuchh bhi nahin
lata: tu jo badha de haath zaraa, duniya ke sahaare kuchh bhi nahin
talat: teri chamakati aankhon ke aage ye sitaare kuchh bhi nahin
talat:
maan liyaa dilakash hain bahut, ye raat hasin ye chaand javaan
baat jo dekhi hai tujh mein, nazaaron mein vo baat kahaan
saamane mere tu ho agar, duniyaa ke nazaare kuchh bhi nahin
teri chamakati aankhon ke aage ye sitaare kuchh bhi nahin
lata:
aa.. aa .. aa..
(saath hai mere tu jab tak, roshan hain jeevan ki raahen)-2
kyun ho mujhe manzil ka Gham, patavaar hain jab teri baahen
maanjhi hai gar tu naiyyaa ka, tufaan ke dhaare kuchh bhi nahin
talat:
teri chamakati aankhon ke aage ye sitaare kuchh bhi nahin
lata: baandh liya bandhan mein tumhen, bas men kar liya bahaaron ko
talat: hai ye vo bandhan jo kar de aazaad Ghamon ke maaron ko
both: pyaar ki tere chhaanv mile to Gham ke sharaare kuchh bhi nahin
talat: teri chamakati aankhon ke aage ye sitaare kuchh bhi nahin
***************************************
लता: आ.. आ.. आ.. आ
तलत: तेरी चमकती आँखों के आगे ये सितारे कुछ भी नहीं
लता: तू जो बढ़ा दे हाथ ज़रा, दुनिया के सहारे कुछ भी नहीं
तलत: तेरी चमकती आँखों के आगे ये सितारे कुछ भी नहीं
तलत:
मान लिया दिलकश हैं बहुत, ये रात हसीं ये चाँद जवाँ
बात जो देखी है तुझ में, नज़ारों में वो बात कहाँ
सामने मेरे तू हो अगर, दुनिया के नज़ारे कुछ भी नहीं
तेरी चमकती आँखों के आगे ये सितारे कुछ भी नहीं
लता:
आ.. आ .. आ..
(साथ है मेरे तू जब तक, रोशन हैं जीवन की राहें)-२
क्यूँ हो मुझे मंज़िल का ग़म, पतवार हैं जब तेरी बाहें
मांझी है गर तू नैय्या का, तूफ़ान के धारे कुछ भी नहीं
तलत:
तेरी चमकती आँखों के आगे ये सितारे कुछ भी नहीं
लता: बाँध लिया बंधन में तुम्हें, बस में कर लिया बहारों को
तलत: है ये वो बंधन जो कर दे आज़ाद ग़मों के मारों को
दोनों: प्यार की तेरे छाँव मिले तो ग़म के शरारे कुछ भी नहीं
तलत: तेरी चमकती आँखों के आगे ये सितारे कुछ भी नहीं
-------------------------------------------------------
[submitted on 27-Feb-2010]