Andaaz Mera Mastaana ( Dil Apna Aur Preet Parai - 1960 )

Song Name
: Andaaz Mera Mastaana
Movie Name
: Dil Apna Aur Preet Parai
Music Director
: Shankar Jai Kishan
Music Company
:
Singer
:
Picturised On
:
Song Type
: Happy
Release Date
Movie Year
: 1960
Views
:


-----------------------------------------------------------
andaaz mera mastaana, maange dil ka nazaraana
zara soch ke aankh milaana, ho jaae na tu divaana
ke ham bhi jawaan hain, sama bhi jawaan hai
na phir ham se kahana, mera dil kahaan hai, mera dil kahaan hai

Chorus: takaalina !

Lata:pyaar ki kitaab hun main, sach hun phir bhi khwaab hun main
dekh kar suroor aae, vo ajab sharaab hun main
main hun jawaani ka rangin taraana, rangin taraana,

Chorus: takaalina !
andaaz mera mastaana.......

Lata:tujh ko meri justuju hai, mujh ko teri aarzoo hai
mere dil ka aaina tu, dil ke aaine men tu hai
ham se hi roshan hai, saara zamaana, saara zamaana

Chorus: takaalina !
andaaz mera mastaana......

Lata:main kidhar hun, tu kahaan hai ye zamin ya aasamaan hai
mere tere pyaar ki ye kya ajib daastaan hai mitha sa ye dard bhi hai suhaana, dard suhaana

Chorus: takaalina !
andaaz mera mastaana.......
-----------------------------------------------------------