Do Rang Duniya Ke ( Do Raaste - 1969 )
Song Name |
: Do Rang Duniya Ke |
Movie Name |
: Do Raaste |
Music Director |
: Laxmikant Pyarelal |
Music Company |
: |
Singer |
: |
Picturised On |
: |
Song Type |
: Sad |
Release Date |
: |
Movie Year |
: 1969 |
Views |
: |
(do rang duniyaa ke, aur do raaste)-2
do roop jiwan ke, jine ke waaste
do rang duniyaa ke, aur do raaste
soch samajh ke paanv rakhe
(samajhaa do har diwaane ko)-2
ik rastaa mandir ko jaaye
(ik jaaye may-khaane ko)-2
raastaa bhool na jaaye
raahi dhokhaa naa khaaye
do rang duniyaa ke, aur do raaste
do roop jiwan ke, jine ke waaste
do rang duniyaa ke, aur do raaste
ek hain aise log jo
(auron ki khaatir jite hain)-2
doosare wo jo apani khaatir
(apanon ka khoon bhi pite hain)-2
koi phool khilaaye
koi kaante bikharaaye
do rang duniyaa ke, aur do raaste
do roop jiwan ke, jine ke waaste
do rang duniyaa ke, aur do raaste
(aur do raaste)-3
***************************************
(दो रंग दुनिया के, और दो रास्ते)-२
दो रूप जीवन के, जीने के वास्ते
दो रंग दुनिया के, और दो रास्ते
सोच समझ के पाँव रखे
(समझा दो हर दीवाने को)-२
इक रस्ता मन्दिर को जाये
(इक जाये मैख़ाने को)-२
रास्ता भूल न जाये
राही धोखा ना खाये
दो रंग दुनिया के, और दो रास्ते
दो रूप जीवन के, जीने के वास्ते
दो रंग दुनिया के, और दो रास्ते
एक हैं ऐसे लोग जो
(औरों की ख़ातिर जीते हैं)-२
दूसरे वो जो अपनी ख़ातिर
(अपनों का ख़ून भी पीते हैं)-२
कोई फूल खिलाये
कोई काँटे बिखराये
दो रंग दुनिया के, और दो रास्ते
दो रूप जीवन के, जीने के वास्ते
दो रंग दुनिया के, और दो रास्ते
(और दो रास्ते)-३
[submitted on 11-May-2008]