Kandhon Se Milte Hain Kandhe ( Lakshya - 2004 )
Song Name |
: Kandhon Se Milte Hain Kandhe |
Movie Name |
: Lakshya |
Music Director |
: Shankar Ehsaan Loy |
Music Company |
: |
Singer |
: |
Picturised On |
: |
Song Type |
: Patriotic |
Release Date |
: |
Movie Year |
: 2004 |
Views |
: |
(Kandhon se milte hain kandhe, qadmon se qadam milte hain
Ham chalte hain jab aise toh dil dushman ke hilte hain) -2 Ab toh hamein aage badte hai rehna
Ab toh hamein saathi hai bas itna hi kehna Roop Kumar:
Ab toh hamein aage badte hain rehna
Ab toh hamein saathi hai bas itna hi kehna Ab jo bhi ho shola banke pathar hai pighlaana Hariharan: Ab jo bhi ho baadal banke parbat par hai chhaana (Kandhon se milte hain kandhe, qadmon se qadam milte hain
Ham chalte hain jab aise toh dil dushman ke hilte hain) -2 Nikle hain maidaan mein ham jaan hatheli par le kar Ab dekho dam lenge ham jaake apni manzil par Khatron se haske khelna, itni toh ham mein himmat hai Mode kalaai maut ki, itni toh ham mein taaqat hai Ham sarhadon ke waaste lohe ki ik deewaar hai
Ham dushmanon ke waaste hoshiyaar hai taiyaar hai Ab jo bhi ho shola banke pathar hai pighlaana Ab jo bhi ho baadal banke parbat par hai chhaana Kandhon se milte hain kandhe, qadmon se qadam milte hain
Ham chalte hain jab aise toh dil dushman ke hilte hain Josh dil mein jagaate chalo, jeet ke geet gaate chalo Josh dil mein jagaate chalo, jeet ke geet gaate chalo Jeet ki jo tasveer banaane ham nikle hain apni lahoo se
Ham ko us mein rang bharna hai Saathi maine apne dil mein ab ye thhaan liya hai
Ya toh ab karna hai, ya toh ab marna hai Chaahein angaarein barse ke bijli gire
Tu akela nahin hoga yaara mere Koyi mushkil ho ya ho koyi ho morcha
Saath har mod par honge saathi tere Ab jo bhi ho shola banke pathar hai pighlaana Ab jo bhi ho baadal banke parbat par hai chhaana
Kandhon se milte hain kandhe, qadmon se qadam milte hain
Ham chalte hain jab aise toh dil dushman ke hilte hain Ik chehra aksar mujhe yaad aata hai
Is dil ko chupke chupke woh tadpaata hai Jab gharse koyi bhi khat aaya hai
Kaagaz ko maine bheega bheega paaya hai Palkon palkon pe yaadon ke kuch deep jaise jalte hain Kuch sapne aise hain, jo saath saath chalte hain Koyi sapna na toote koyi waada na toote
Tum chaaho jisse dil se woh tumse na roothhe Ab jo bhi ho shola banke pathar hai pighlaana Ab jo bhi ho baadal banke parbat par hai chhaana Kandhon se milte hain kandhe, qadmon se qadam milte hain
Ham chalte hain jab aise toh dil dushman ke hilte hain Chalta hai jo ye kaarvaan, gunji si hai ye waadiyaan Hai ye zameen, ye aasmaan Hai ye hawa, hai ye sama Har raste ne, har waadi ne har parbat ne sada di Ham jeetenge ham jeetenge ham jeetenge har baazi
(Kandhon se milte hain kandhe, qadmon se qadam milte hain
Ham chalte hain jab aise toh dil dushman ke hilte hain) -4 Chalta hai jo ye kaarvaan , gunji si hai ye waadiyaan