So Gaya Sara Zamaana ( Miss Mary - 1957 )

Song Name
: So Gaya Sara Zamaana
Movie Name
: Miss Mary
Music Director
: Hemant Kumar
Music Company
:
Singer
:
Picturised On
:
Song Type
: Sad
Release Date
Movie Year
: 1957
Views
:


so gaya saara zamaana, neend kyun aati nahin (2)
aye hawaa jaa kar use tu saath kyun laati nahin (2)
So gaya saara zamaana ..

chaand pahele bhi nikalta tha magar aisa na tha (2)
aaj aisi baat kyun hai kuchh samajh aati nahin (2)
So gaya saara zamaana ..

chaandni kuchh chaand se keh kar zameen pe aa gaee (2)
jaane kyaa dekha yahan ab louT kar jaati nahin (2)
So gaya saara zamaana ..

LATA-MISS MARY (1957)