La De Mohe Baalama ( Rail Ka Dibba - 1953 )

Song Name
: La De Mohe Baalama
Movie Name
: Rail Ka Dibba
Music Director
: Ghulam Mohammad
Music Company
:
Singer
:
Picturised On
:
Song Type
: Happy
Release Date
Movie Year
: 1953
Views
:


Singers: Shamshad Begum & Mohammad Rafi


la de mohe baalama, aasamaani chudiyaan,
ji aasamaani chudiyaan, o~ .o~ .o~
dil ko mere bhaayen na ye puraani chudiyaan,
ji ye puraani chudiyaan, la de mohe baalama aji bhar ke nazar dekh lo idhar, chudiyon ki tum karo na fiqar
bhool na jaana dil ko lekar, ghaayal man hai, zakhmi jigar
jab se ladi tum se nazar, ham hain udhar tum ho jidhar
aao ji kar le mil ke guzar duniya ko ho na magar
tere mere dil ki khabar
tere liye laaunga man lubhaani chudiyaan,
ji man lubhaani chudiyaan, la de mohe baalama..............

bhole piya mera jiya tum ne liya hai -2
aji tum ne hamen, ham ne tumhen pyaar kiya hai -2
tumhen chhod ke balam jaayenge na ham khaaye hue hain pyaar ki qasam
roega na dil khaaenge na gham, koi na hoga dil pe sitam
tum hi piya, tum hi sanam, rakhana meri laaj sharam
tere hi dam se hai mera dam laagi ho dekho na kam
saath milake chham-chhamaa-chham
de de mujhe pyaar ki tu nishaani chudiyaan
ji tu nishaani chudiyaan

la de mohe baalama aasamaani chudiyaan, o~ .o~ .o~
ji aasamaani chudiyaan
tere liye laaunga man lubhaani chudiyaan,
ji man lubhaani chudiyaan

**************************************