Tanha Dil Tanha Safar ( Shaan Love Story - 2007 )

Song Name
: Tanha Dil Tanha Safar
Movie Name
: Shaan Love Story
Music Director
: Shaan
Music Company
:
Singer
:
Picturised On
:
Song Type
: Sad
Release Date
Movie Year
: 2007
Views
:


Aankhon mein sapne liye
Ghar se hum chal toh diye
Jaane yeh raahe abb le jaayengi kahaan
Mitti ki khushbu aaye
Palkon pe aansu laaye
Palkon pe reh jaayega yaadon ka jahaan
Manzil nayi hain
Anjaana hai kaarava
Chalna akele hai yahaan

[Tanha dil, tanha safar
Dhonde tujhe phir kyun nazar] 2
Tanha dil

Dilkash nazaare dekhe
Jhilmil sitaare dekhe
Aankhon mein phir bhi tera chehra hai jawaan

Kitni barsaate aayi
Kitni saugaate laayi
Kaano mein phir bhi gunje teri hi sada
Waade kiye the, apana hoga aashiyaan
Waado ka jaane hoga kya

[Tanha dil, tanha safar
Dhonde tujhe phir kyun nazar] 2
Tanha dil 2

Aankhon mein sapne liye
Ghar se hum chal toh diye
Jaane yeh raahe abb le jaayengi kahaan
Mitti ki khushbu aaye

Palkon pe aansu laaye
Palkon pe reh jaayega yaadon ka jahaan
Manzil nayi hain
Anjaana hai kaarava
Chalna akele hai yahaan

[Tanha dil, tanha safar
dhunde tujhe phir kyun nazar] 2
Tanha dil 2

Corrected by- yuvaraaju