Ham Kis Ko Sunaayen Haal ( Shabnam - 1949 )

Song Name
: Ham Kis Ko Sunaayen Haal
Movie Name
: Shabnam
Music Director
: S.D.Burman
Music Company
:
Singer
:
Picturised On
:
Song Type
: Happy
Release Date
Movie Year
: 1949
Views
:


[singers: Lalita Deolikar ]


ham kis ko sunaayen haal
ye duniyaa paise ki -2
o nahin paas hamaare maal
ye duniyaa paise ki -2

kal hamaare paas bhi bangala tha motar-kaar thi
aaj hain sharanaarthi ham, aaj hain sharanaarthi
poochhe na koi haal
ye duniyaa paise ki -2

ham kis ko sunaayen haal
ye duniyaa paise ki -2

ham loote aise, hamaara aasara koi nahin
aaj duniyaa men gharibon ka khuda koi nahin
dekha duniyaa ka haal
ye duniyaa paise ki -2

ham kis ko sunaayen haal
ye duniyaa paise ki -2

kadar bas daulat ki hai, duniyaa ke is baazaar men
mandiron se "BANK" unche ban gaye sansaar men
ultee is jag ki chaal
ye duniyaa paise ki -2

ham kis ko sunaayen haal
ye duniyaa paise ki -2

kuchh to ai duniyaa ke maalik kar gharibon ka khayaal
bhej halawa, bhej puuri, bhej roti bhej daal
kab tak gaaye kangaal, ye duniyaa paise ki -2
ye duniyaa paise ki

bhej halawa, bhej puuri, bhej roti
bhej daal
bhej roti
bhej daal
bhej puuri
bhej daal
bhej ...