Tumhaare Liye Hue Badnaam ( Shabnam - 1949 )
Song Name |
: Tumhaare Liye Hue Badnaam |
Movie Name |
: Shabnam |
Music Director |
: S.D.Burman |
Music Company |
: |
Singer |
: |
Picturised On |
: |
Song Type |
: Sad |
Release Date |
: |
Movie Year |
: 1949 |
Views |
: |
[singers: Mukesh & Shamshad Begum ]
Mukesh:
tumhaare liye huye badnaam
na bhoole phir bhi tumhaara naam
tum jaano ya na jaano
tumhaari marazi,tumhaari marazi
Shamshad:
O...O...O...
jaao ji jaao aaye bade
muhobbat karnewaale,muhobbat karnewaale
hamen chhod kar bich nadi men
paar utar ne waale, paar utar ne waale
Mukesh:
chaahe laakh do ilzaam
ham to kab se bane ghulaam
tum maano ya na maano
tumhaari marazi,tumhaari marazi
Shamshad:
tum pardesi ,pardesi
tum pardesi, tum harjaaee,phir kya ham se mel
jaao jaa kar aur kisi se khelo pyaar ka khel
Mukesh:
hmein auron se kya kaam
tumhaare bina nahin aaraam
tum maano ya na maano
tumhaari marazi,tumhaari marazi
Shamshad:
O...O...O...
tum bhi zara jalane ka maza lo
hamein jalaane waale, hamein jalaane waale
ham kya jaane koun ho tum,
O hamein manaane waale, hamein manaane waale
Mukesh:
ham to aayenge subah-o-shaam
ham to karenge roz salaam
pehchaano na pehchaano
tumhaari marazi,tumhaari marazi
tumhaare liye huye badnaam.......... ...