Jab Us Ne Gesu Bikharaaye ( Shahjahaan - 1946 )

Song Name
: Jab Us Ne Gesu Bikharaaye
Movie Name
: Shahjahaan
Music Director
: Naushad
Music Company
:
Singer
:
Picturised On
:
Song Type
: Happy
Release Date
Movie Year
: 1946
Views
:


jab us ne gesu bikharaaye
baadal aaya jhuum ke
mast umangen laharaai hai
rangin mukhadaa chuum ke

Gunchaa mahaka, bul-bul chahakaa -2
naache bhanwara ghuum ke

jab us ne gesuu bikharaaye
baadal aayaa jhuum ke

us ke nain gulaabi -2
kar de sab ko sharaabi -2

baadal aaya jhuum ke
jab us ne gesu bikharaaye
baadal aaya jhuum ke

( jab hans-hans kar wo bole
kaanon men wo ras ghole
har dil men aramaan dole
ishq apani aankhen khole ) -2

o..o..o..
( us ne paimaana chhalakaaya
aa saaqi
masti men aanchal dhalakaaya
aa saaqi ) -2
room jhum, room jhum

baadal aaya jhuum ke
jab us ne gesu bikharaaye
baadal aaya jhuum ke
mast umangen laharaai hai
rangin mukhada chuum ke

***********************************

जब उसने गेसू बिखराये
बादल आया झूम के
मस्त उमंगें लहराई हैं
रंगीं मुखड़ा चूम के

ग़ुँचा महका बुलबुल चहका -२
नाचे भँवरा घूम के

जब उसने गेसू बिखराये
बादल आया झूम के

उसके नैन गुलाबी -२
कर दें सबको शराबी -२

बादल आया झूम के
जब उसने गेसू बिखराये
बादल आया झूम के

( जब हँस-हँस कर वो बोले
कानों में वो रस घोले
हर दिल में अरमाँ डोले
इश्क़ अपनी आँखें खोले ) -२

ओ..ओ..ओ..
( उसने पैमाना छलकाया
आ साक़ी
मस्ती में आँचल ढलकाया
आ साक़ी ) -२
रूम झुम रुम झुम

बादल आया झूम के
जब उसने गेसू बिखराये
बादल आया झूम के
मस्त उमंगें लहराई हैं
रंगीं मुखड़ा चूम के