Ek Do Teen Chaar Panch ( Teen Beti Char Rasta - 1953 )

Song Name
: Ek Do Teen Chaar Panch
Movie Name
: Teen Beti Char Rasta
Music Director
: Shivram Krishna
Music Company
:
Singer
:
Picturised On
:
Song Type
: Happy
Release Date
Movie Year
: 1953
Views
:


ek do teen chaar paanch
naach mere man naach,khushi se naach)-2

main samajha tha meri preet ko
main jaanu ya vo jaane
ye to ban gai prem kahaani
jis ko saari duniya jaane
bhaiyaa jaane,bhaabhi jaane,chaachaa jaane,chaachi jaane
maamaa jaane,maami jaane
sab se badh kar baabaa jaane
baabaa jaane
(lekin saach ko kya hai aanch)-2

naach mere man naach,khushi se naach
ek do teen chaar paanch
naach mere man naach,khushi se naach

ye to baat badal gai jaise
raat ke baad savera aaya
meri ujhadi phulwaari men
sau sau koi bahaare laaya
phaliya laaya,kaliya laaya,titali laaya,khushboo laaya,rangat laaya,gammat laaya
sab se badh kar maalan laaya,
maalan laaya
(jis ko phoolon ki hai sab jaanch)-2

naach mere man naach,khushi se naach
ek do teen chaar paanch
naach mere man naach,khushi se naach


mere ghar men aaogi tum
ek din ban ke pyaari dulhaniya
tumare charano men rakh dunga
hans ke apani saari duniya
chunnar dunga,saari dunga,Tikli dunga,bunde dunga
jhumke dunga,jhanjhar dunga
sab se badh kar dil ye dunga
dil ye dunga
(dekho tod na dena jaise kaanch)-2

naach mere man naach,khushi se naach
ek do teen chaar paanch
naach mere man naach,khushi se naach

courtesy;
http://www.youtube.com/watch?v=6alJHKCSaVs
**************************************

(एक दो तीन चार पांच
नाच मेरे मन नाच,खुशी से नाच)-२

मैं समझा था मेरी प्रीत को
मैं जानू या वो जाने
ये तो बन गई प्रेम कहानी
जिस को सारी दुनिया जाने
भैया जाने,भाभी जाने,चाचा जाने,चाची जाने
मामा जाने,मामी जाने
सब से बढ कर बाबा जाने
बाबा जाने
(लेकिन साच को क्या है आंच)-२

नाच मेरे मन नाच,खुशी से नाच
एक दो तीन चार पांच
नाच मेरे मन नाच,खुशी से नाच


ये तो बात बदल गई जैसे
रात के बाद सवेरा आया
मेरी उझडी फुल्वारी में
सौ सौ कोई बहारे लाया
फलिया लाया,कलिया लाया,तितली लाया,खुश्बू लाया,रंगत लाया,गम्मत लाया
सब से बढ कर मालन लाया,
मालन लाया
(जिस को फूलों कि है सब जांच)-२

नाच मेरे मन नाच,खुशी से नाच
एक दो तीन चार पांच
नाच मेरे मन नाच,खुशी से नाच


मेरे घर में आओगी तुम
एक दिन बन के प्यारी दुल्हनिया
तुमरे चरणो में रख दूंगा
हंस के अपनी सारी दुनिया
चुन्नर दूंगा,सारी दूंगा,टिक्ली दूंगा,बुंदे दूंगा
झुम्के दूंगा,झंझर दूंगा
सब से बढ कर दिल ये दूंगा
दिल ये दूंगा
(देखो तोड न देना जैसे कांच)-२

नाच मेरे मन नाच,खुशी से नाच
एक दो तीन चार पांच
नाच मेरे मन नाच,खुशी से नाच
------------------------------------------------
[submitted on 20-Nov-2008]