Kaisi Haseen Aaj Bahaaron Ki Raat ( Aadmi - 1968 )

Song Name
: Kaisi Haseen Aaj Bahaaron Ki Raat
Movie Name
: Aadmi
Music Director
: Naushad
Music Company
:
Singer
:
Picturised On
:
Song Type
: Sad
Release Date
Movie Year
: 1968
Views
:


rafi: kaisi haseen aaj bahaaron ki raat hai
ek chaand aasamaan pe hai ek mere saath hai

m.kapoor : dene vale tu ne to koi kami na ki
ab kis ko kyaa milaa ye muqaddar ki baat hai

rafi : chhaaya hai husn-o-ishq pe ek rang-e-bekhudi
aate hain zindagi men ye aalam kabhi kabhi
har ghham bhool jaao khuushi ki baaraat hai
ek chaand aasamaan pe hai ek mere saath hai

m.kapoor : aai hai vo bahaar ki naghame ubal pade
aisi khuushi hai ki aansoo nikal pade
honthon pe hain duaaen magar dil pe haath hai
ab kis ko kyaa milaa ye muqaddar kii baat hai

rafi: masti simat ke pyaar ke gulashan men aa gai

m.kapoor: meri khuushi bhi aap ke daaman men aa gai
bhanvara kali se door nahin saath saath hai
ab kissko kya mila yeh muqaddar ki baat hai

kaisi haseen aaj bahaaron ki raat hai
ek chaand aasmaan pe hai ek mere saath

[Singer:-Rafi & Mahendra Kapoor : Lyrics:-Shakil Badayuni]