Kya Miliye Aise Logon ( Izzat - 1968 )
Song Name |
: Kya Miliye Aise Logon |
Movie Name |
: Izzat |
Music Director |
: Laxmikant Pyarelal |
Music Company |
: |
Singer |
: |
Picturised On |
: |
Song Type |
: Un-Categorized |
Release Date |
: |
Movie Year |
: 1968 |
Views |
: |
Kya Miliye Aise Logon Se,
Jinki Fithrath Chupi Rahe,
Nakli Chehera Saamne Aaye,
Asli Surath Chupi Rahe,
Kya Miliye Aise Logon Se,
Jinki Fithrath Chupi Rahe,
Nakli Chehera Saamne Aaye,
Asli Surath Chupi Rahe...
Khud Se Bhi Jo Khud Ko Chupaaye,
Kya Unse Pehechaan Karen,
Kya Unke Daaman Se Lipten?,
Kya Unka Samman Karen?,
Jinki Aadhi Niyath Ubhare,
Aadhi Niyath Chupi Rahe,
Nakli Chehera Saamne Aaye,
Asli Surath Chupi Rahe...
Dildaari Kaa Dong Rachakar,
Jaal Bichaaye Baaton Ka,
Jiteji Ka Rishta Kehekar,
Sukh Dunde Kuch Raaton Kaa,
Ruh Ki Hasrath Labh Par Aaye,
Jism Ki Hasrath Chupi Rahe,
Nakli Chehera Saamne Aaye,
Asli Surath Chupi Rahe...
Jinke Zulm Se Dukhi Hai Janta,
Har Basti Har Gaavun Mein,
Daya Dharam Ki Baat Karen Voh,
Bait Ke Sajhi Sabhavon Mein,
Daan Ka Charcha Ghar Ghar Pahunche,
Lut Ki Daulat Chupi Rahe,
Nakli Chehera Saamne Aaye,
Asli Surath Chupi Rahe...
Dekhen In Nakli Cheheron Ki,
Kab Tak Jai Jai Kaar Chale,
Ujale Kapdon Ki Teh Mein,
Kab Tak Kaala Sansaar Chale,
Kab Tak Logon Ki Nazaron Se,
Chupi Haqueeqat Chupi Rahe,
Nakli Chehera Saamne Aaye,
Asli Surath Chupi Rahe...
Kya Miliye Aise Logon Se,
Jinki Fithrath Chupi Rahe,
Nakli Chehera Saamne Aaye,
Asli Surath Chupi Rahe..