Raat Andheri Door Savera ( Aah - 1953 )

Song Name
: Raat Andheri Door Savera
Movie Name
: Aah
Music Director
: Shankar-Jaikishan
Music Company
:
Singer
:
Picturised On
:
Song Type
: Sad
Release Date
Movie Year
: 1953
Views
:


raat andheri door saveraa
barbaad hai dil meraa o.. ) -2

( aanaa bhi chaahein aa na sake ham
koi nahin aasaraa ) -2
khoyee hai manzil rastaa hai mushkil
chaaNd bhi aaj chhupaa, ho..
raat andheri door saveraa
barbaad hai dil meraa o..

( aah bhi roye raah bhi roye
soojhe na baaT koi ) -2
thoDi umar hai soonaa safar hai
meraa na saath koi, ho..
raat andheri door saveraa
barbaad hai dil meraa o.. -2
barbaad hai dil meraa