Tum roothi raho main manaataa rahoon ( Aas Ka Panchhi - 1962 )
Song Name |
: Tum roothi raho main manaataa rahoon |
Movie Name |
: Aas Ka Panchhi |
Music Director |
: Shankar Jaikishan |
Music Company |
: |
Singer |
: |
Picturised On |
: |
Song Type |
: Love Song |
Release Date |
: |
Movie Year |
: 1962 |
Views |
: |
Boy: Tum roothi raho main manaataa rahoon
Tum roothi raho main manaataa rahoon
Ke in adaaon pe aur pyaar aataa hai
In adaaon pe aur pyaar aataa hai
Girl: Thode shiqwe bhi hon kuchh shikaayat bhi ho
Thode shiqwe bhi hon kuchh shikaayat bhi ho
To mazaa jeene kaa aur bhi aataa hai
Mazaa jeene kaa aur bhi aataa hai
Boy: Haay dil ko churaakar le gayaa
Munh chhupaa lenaa hamse wo aapkaa
Munh chhupaa lenaa hamse wo aapkaa
Dekhnaa wo bigad kar phir hamen
Aur daanton mein ungli kaa daabnaa
Aur daanton mein ungli kaa daabnaa
O mujhe teri qasam yahi samaa maar gayaa
Isi jalwe pe tere donon jahaan haar gayaa
Tum roothi raho main manaataa rahoon
Tum roothi raho main manaataa rahoon
Ke in adaaon pe aur pyaar aataa hai
In adaaon pe aur pyaar aataa hai
Girl: Thode shiqwe bhi hon kuchh shikaayat bhi ho
Thode shiqwe bhi hon kuchh shikaayat bhi ho
To mazaa jeene kaa aur bhi aataa hai
Mazaa jeene kaa aur bhi aataa hai
Girl: Ye na samjho ki tumse door hoon
Ye na samjho ki tumse door hoon
Tere jeewan ki pyaar bhari aas hoon
Tere jeewan ki pyaar bhari aas hoon
Chaand ke sang jaise hai chaandni
Waise main bhi tere dil ke paas hoon
Waise main bhi tere dil ke paas hoon
Haay wo dil hi nahin jo na dhadaknaa jaane
Aur dildaar nahin jo na tadapnaa jaane
Thode shiqwe bhi hon kuchh shikaayat bhi ho
Thode shiqwe bhi hon kuchh shikaayat bhi ho
To mazaa jeene kaa aur bhi aataa hai
Mazaa jeene kaa aur bhi aataa hai
Boy: Tum roothi raho main manaataa rahoon
Tum roothi raho main manaataa rahoon
Ke in adaaon pe aur pyaar aataa hai
In adaaon pe aur pyaar aataa hai
Boy: Chaahe koi dagar ho pyaar ki
Khatm hogi na teri-meri daastaan
Khatm hogi na teri-meri daastaan
Girl: Dil jalegaa to hogi roshni
Tere dil mein banaayaa maine aashiyaan
Tere dil mein banaayaa maine aashiyaan
Boy: O sharad poonam ki rang bhari chaandni
Meri sab kuchh meri taqdeer meri zindagi
Boy: Tum roothi raho main manaataa rahoon
Tum roothi raho main manaataa rahoon
Ke in adaaon pe aur pyaar aataa hai
In adaaon pe aur pyaar aataa hai
Girl: Thode shiqwe bhi hon kuchh shikaayat bhi ho
Thode shiqwe bhi hon kuchh shikaayat bhi ho
To mazaa jeene kaa aur bhi aataa hai
Mazaa jeene kaa aur bhi aataa hai