Mehafil Se Uth Jaanewaalon ( Dooj Ka Chand - 1964 )
Song Name |
: Mehafil Se Uth Jaanewaalon |
Movie Name |
: Dooj Ka Chand |
Music Director |
: Roshan |
Music Company |
: |
Singer |
: |
Picturised On |
: |
Song Type |
: Sharaabi/Nasha |
Release Date |
: |
Movie Year |
: 1964 |
Views |
: |
mahafil se uth jaanevaalon, tum logon par kyaa ilzaam tum aabaad gharon ke baasi, main aavaaraa aur badanaam mere saathi, mere saathi, mere saathi khaali jaam mere saathi khaali jaam do din tum ne pyaar jataayaa, do din tum se mel rahaa achchhaa khaasaa vaqt kataa, aur achchhaa khaasaa khel rahaa achchhaa khaasaa khel rahaa ab us khel kaa zikr hi kaisaa, vakt kataa aur khel tamaam mere saathi ....
tum ne dhoondhi sukh ki daulat, mainne paala gham ka rog kaise banataa kaise nibhataa, ye rishtaa aur ye sanjog main ne dil ko dil se tola, tum ne maange pyaar ke daam mere saathi ....
tum duniyaa ko behatar samajhe, main paagal tha,khuwaar hua
tum ko apana ne nikalaa tha, khud se bhi bezaar hua khud se bhI bezaar hua dekh liyaa ghar funk tamaashaa, jaan liya apana anjaam mere saathi ..
mere saathi khaali jaam .....
*************************************
महफ़िल से उठ जानेवालों, तुम लोगों पर क्या इल्ज़ाम तुम आबाद घरों के बासी, मैं आवारा और बदनाम मेरे साथी, मेरे साथी, मेरे साथी खाली जाम मेरे साथी खाली जाम दो दिन तुम ने प्यार जताया, दो दिन तुम से मेल रहा अच्छा खासा वक़्त कटा, और अच्छा खासा खेल रहा अच्छा खासा खेल रहा अब उस खेल का ज़िक्र ही कैसा, वक्त कटा और खेल तमाम मेरे साथी ....
तुम ने ढूँढी सुख की दौलत, मैंने पाला ग़म का रोग कैसे बनाता कैसे निभता, ये रिश्ता और ये संजोग मैं ने दिल को दिल से तोला, तुम ने माँगे प्यार के दाम मेरे साथी ....
तुम दुनिया को बेहतर समझे, मैं पागल था,खुवार हुआ तुम को अपना ने निकला था, खुद से भी बेज़ार हुआ खुद से भी बेज़ार हुआ देख लिया घर फ़ूंक तमाशा, जान लिया अपना अन्जाम मेरे साथी,
मेरे साथी खाली जाम ...
[submitted on 12-Apr-2008]