Chamaka Ban Kar Aman Ka Taara ( Ek Hi Raasta - 1956 )

Song Name
: Chamaka Ban Kar Aman Ka Taara
Movie Name
: Ek Hi Raasta
Music Director
: Hemant Kumar
Music Company
:
Singer
:
Picturised On
:
Song Type
: Patriotic
Release Date
Movie Year
: 1956
Views
:


chamaka ban kar aman ka taara
prem ki dharati desh hamaara
jai-jai hindustaan -3

aman ke dushman jang ke bete, bhool gae har chaal
"ATOM BOMB"se ja takaraaya, veer JAWAAHAR LAL
duniya ne ek saath pukaara, jai-jai hindustaan
chamaka ban kar.......

jang ke haathon kitani chuudiyaan, hoti chakana-chuur
jal jaata baarood men kitane, maangon ka sindoor
tujhase hai singaar hamaara, jai-jai hindustaan
chamaka ban kar..........

dharati maata jhoom rahi hai, bhooli duniya jang
kya peele kya gore-kaale, mil gae teenon rang
jhandaa unchaa rahe hamaara, jai-jai hindustaan
chamaka ban kar.........

***********************************************