Tumhe Qasam Hai Chale Bhi Aao ( Ek Saal - 1957 )

Song Name
: Tumhe Qasam Hai Chale Bhi Aao
Movie Name
: Ek Saal
Music Director
: Ravi
Music Company
:
Singer
:
Picturised On
:
Song Type
: Sad
Release Date
Movie Year
: 1957
Views
:


Singer: Lata

kisi ne aaj mohabbat ko aazamaaya hai
wafa ko aaj nibhaane ka vaqt aaya hai
pukaar sun ke chale aao do ghadi ke liye
badi tamanna se ham ne tumhen bulaaya hai
chale bhi aao -3

( chale bhi aao, chale bhi aao
tumhen qasam hai, chale bhi aao, chale bhi aao ) -2

( usi se kahate hain baat dil ki
ki jis ko samajhe kuchh apana-apana ) -2
mita na dena bharam ye mera
na tod dena ye pyaara sapana

chale bhi aao, chale bhi aao
tumhen qasam hai, chale bhi aao, chale bhi aao

( na aaye tum to kahegi duniya
ye naaz jhootha ye pyaar jhootha
ye pyaar jhootha ) -2
ye dil ki dhadakan hai ek dhokha
nigaah ka intazaar jhootha

chale bhi aao, chale bhi aao, chale bhi aao, chale bhi aao

***********************************