Dil Chhed Koi Aisa Naghma ( Inspector - 1956 )
Song Name |
: Dil Chhed Koi Aisa Naghma |
Movie Name |
: Inspector |
Music Director |
: Hemant Kumar |
Music Company |
: |
Singer |
: |
Picturised On |
: |
Song Type |
: Sad |
Release Date |
: |
Movie Year |
: 1956 |
Views |
: |
dil chhed koi aisaa naghma
geeton mein zamaana kho jaaye
dil chhed koi aisaa naghma
ye aah meri duniya ke liye -2
khushiyon ka taraana ho jaaye
dil chhed koi aisaa naghma
(aavaaz mere toote dil ki
duniya ke dilon ko tadapaa de) -2
patthar ka jigar bhi sun ke jise
ek baar to paani ho jaaye
dil chhed koi aisaa naghma
hai jis ne hamein yah dard diyaa -2
ham us ko duaayen dete hain
ye dard dava ban jaaega
ek din jo puraana ho jaaye
dil chhed koi aisaa naghma
(hai tujh ko qasam ai dil ki jalan
aankhon mein na aansu aajaayen) -2
aisaa na ho tere rone se
mahafil mein tamaasha ho jaaye
dil chhed koi aisaa naghma
geeton mein zamaana kho jaaye
dil chhed koi aisaa naghma
****************************************
दिल छेड़ कोई ऐसा नग़मा
गीतों में ज़माना खो जाए
दिल छेड़ कोई ऐसा नग़मा
ये आह मेरी दुनिया के लिए -२
ख़ुशियों का तराना हो जाए
दिल छेड़ कोई ऐसा नग़मा
(आवाज़ मेरे टूटे दिल की
दुनिया के दिलों को तड़पा दे) -२
पत्थर का जिगर भी सुनके जिसे
एक बार तो पानी हो जाए
दिल छेड़ कोई ऐसा नग़मा
है जिसने हमें यह दर्द दिया -२
हम उसको दुआएं देते हैं
ये दर्द दवा बन जाएगा
एक दिन जो पुराना हो जाए
दिल छेड़ कोई ऐसा नग़मा
(है तुझको क़सम ऐ दिल की जलन
आँखों में न आँसू आजाएं) -२
ऐसा न हो तेरे रोने से
महफ़िल में तमाशा हो जाए
दिल छेड़ कोई ऐसा नग़मा
------------------------------------------------------
[re-submitted on 08-April-2010]