Mausaam ( Jaanwar - 1999 )

Song Name
: Mausaam
Movie Name
: Jaanwar
Music Director
: Anand Milind
Music Company
:
Singer
:
Picturised On
:
Song Type
: Love Song
Release Date
Movie Year
: 1999
Views
:


-FEMALE--
Duniya ki tarah, rasmon ki tarah
Vaadon ki tarah, kasmon ki tarah
Mausam ki tarah tum bhi badal to na jaaoge - 2

---MALE--
Duniya badalti hai, mausam badalte hai
Lekin mere dil ko badal nahin paaoge

--FEMALE--
Mausam ki tarah tum bhi badal to na jaaoge - 2

Aasmaanon ke aage tumne vaada kiya hai
Dil ke badle mein maine pyaar tumko diya hai

---MALE--
Dharti ki, ambar ki kasam
Mujhko hai tere sar ki kasam
Nazrein badalti hain, sapne badalte hain
Lekin meri dhadkan ko tum dhadkaaoge

--FEMALE--
Mausam ki tarah tum bhi badal to na jaaoge - 2

Meri pehli tamanna, aakhri pyaar ho tum
Rooh mein bas gaye ho, mere dildaar ho tum

---MALE--
Aise hi tumhe chaahoonga main
Tumhe dulhan bhi banaaoonga main
Sehre badalte hain, khushboo badalti hai
Pal pal meri saanson ko tum mahekaaoge

--FEMALE--
Mausam ki tarah tum bhi badal to na jaaoge - 2

Tumne dhoka diya to kuch bhi kar jaaoongi main
Tum judaa jo hue to dekho mar jaaoongi main

---MALE--
Meri manzil teri raahon mein hai
Meri jannat teri baahon mein hai
Raahi badalte hain, raste badalte hain
Main daudke aaoonga jo mujhko bhoolaaoge

--FEMALE--
Mausam ki tarah tum bhi badal to na jaaoge - 2
Badal to na jaaoge - 3