O Jaanewaale Tune Aramaanon Ki Duniya ( Patanga - 1949 )
Song Name |
: O Jaanewaale Tune Aramaanon Ki Duniya |
Movie Name |
: Patanga |
Music Director |
: C.Ramchandra |
Music Company |
: |
Singer |
: |
Picturised On |
: |
Song Type |
: Sad |
Release Date |
: |
Movie Year |
: 1949 |
Views |
: |
[Singer:- Lata ]
thukara ke mujhe jaanewaale
ik thokar aur lagaata ja
sindur to maang se chhin liya
ab phoolon ko thukaraataa ja
o jaanewaale
jaanewaale toone aramaanon ki duniya loot li
muskuraane bhi na paai thi, tamannaa loot li
haaye duniya loot li
o jaanewaale
chhin kar khushiyaan meri, rone ko aansu de diye - 2
raat din maangi mere dil ne, dua jis ke liye - 2
kya qayaamat hai
kya qayaamat hai usi ne dil ki duniya loot li
muskuraane bhi na paai thi, tamanna loot li
haaye duniya loot li
o jaanewaale kar diya beghar mujhe, mere hi ghar ke saamane - 2
aa gayi jab pyaar ki manzil, nazar ke saamane - 2
lootanevaale ne
lootanevaale ne manzil ki tamanna loot li
muskuraane bhi na paai thi, tamanna loot li
haaye duniya loot li
o jaanewaale, tune aramaanon ki duniya loot li
muskuraane bhi na paai thi, tamanna loot li
haaye duniya loot li
o jaanewaale
******************************************