Khuli Palak Mein Jhoota Guzza ( Professor - 1962 )

Song Name
: Khuli Palak Mein Jhoota Guzza
Movie Name
: Professor
Music Director
: Shankar Jaikishan
Music Company
:
Singer
:
Picturised On
:
Song Type
: Love Song
Release Date
Movie Year
: 1962
Views
:


zaraa thaharo, zaraa thaharo,
sadaa, mere dil kii, zaraa sunatii jaa_o.

khulii palak me.n, jhuuthaa gussaa, band, palak me.n, pyaar,
jiinaa, bhii mushkil, haay,maranaa, bhii mushkil.
aa.nkho.n me.n,ikaraar kii,jhalkii, hotho.n par,inkaar,
jiinaa, bhii mushkil, haay,maranaa, bhii mushkil.

jis din se, dekhaa, tumako, tum, lage mujhe, apane se,
aur, aake rahe, aa.nkho.n me.n,haay,
aur, aake rahe, aa.nkho.n me.n, ik, manachaahe, sapane se,
samajh naa aaye,kyaa jiitaa mai.n, aur, gayaa kyaa, haar,
jiinaa, bhii mushkil,haay, maranaa, bhii mushkil.
...
khulii palak me.n, jhuuthaa gussaa, band, palak me.n, pyaar,
jiinaa, bhii mushkil, haay, maranaa, bhii mushkil.

Tum, pyaar chhupaake, haare, mai.n, pyaar, jataake, haaraa,
ab to saarii, duniyaa pe,haay,
ab to saarii, duniyaa pe, zaahir hai, haal,hamaaraa,
pahu.nch ke, is manzil pe lautanaa, ab to hai dushwaar,
jiinaa, bhii mushkil, haay, maranaa, bhii mushkil.
...
khulii palak me.n, jhuuthaa gussaa, band, palak me.n, pyaar,
jiinaa, bhii mushkil, haay, maranaa, bhii mushkil.