Bhari Duniya Men Aakhir Dil Ko ( Do Badan - 1966 )

Song Name
: Bhari Duniya Men Aakhir Dil Ko
Movie Name
: Do Badan
Music Director
: Ravi
Music Company
:
Singer
:
Picturised On
:
Song Type
: Sad
Release Date
Movie Year
: 1966
Views
:


Singer: Mohammad Rafi

bhari duniya men aakhir dil ko samajhaane kahaan jaaen -2
muhabbat ho gai jin ko, vo divaane kahaan jaaen
bhari duniya men aakhir dil ko samajhaane kahaan jaaen bhari duniya... lage hain shammaa par pahare zamaane ki nigaahon ke -2
zamaane ki nigaahon ke
jinhen jalane ki hasarat hai,
jinhen jalane ki hasarat hai, vo paravaane kahaan jaaen
muhabbat ho gai jin ko vo divaane kahaan jaaen
bhari duniya men aakhir dil ko samajhaane kahaan jaaen bhari duniya... sunaana bhi jinhen mushkil, chhupaana bhi jinhen mushkil -2
chhupaana bhi jinhen mushkil zara tu hi bata ai dil,
zara tu hi bata ai dil, vo afasaane kahaan jaaen
muhabbat ho gai jin ko vo divaane kahaan jaaen
bhari duniya men aakhir dil ko samajhaane kahaan jaaen bhari duniya... nazar men uljane, dil men hai aalam beqaraari ka-2
hai aalam beqaraari ka
samaj men kuchh nahin aata,
samaj men kuchh nahin aata, vo tufaane kahaan jayen
muhabbat ho gai jin ko vo divaane kahaan jaaen
bhari duniya men aakhir dil ko samajhaane kahaan jaaen bhari duniya ... ***********************************************