Dag-mag Dag-mag Dole Naiya ( Jogan - 1950 )
Song Name |
: Dag-mag Dag-mag Dole Naiya |
Movie Name |
: Jogan |
Music Director |
: Bulo C.Rani |
Music Company |
: |
Singer |
: |
Picturised On |
: |
Song Type |
: Bhajan |
Release Date |
: |
Movie Year |
: 1950 |
Views |
: |
[Singer:- Geeta Dutt ]
dag-mag dag-mag dole naiya
paar lagaao to jaanu khevaiya
chanchal chit ko, moh ne ghera
pag-pag par hai paap ka dera
laaj rakho jo laaj rakhaiya
paar lagaao to jaanu khevaiya
chhaayaa chaaron aur andhera
tum bin kaun sahaara mera
haath pakad ke bansi bajaiya
paar lagaao to jaanu khevaiya
bhakton ne tum ko manaaya bhajan se
main to rijhaaun tumhe ansuvan se
giraton ko paanv uthaao kanhaiya
paar lagaao to jaanu khevaiya
*****************************************