Main Dukh Ki Raat Hoon Aisi ( Non-Filmi - 1940 )

Song Name
: Main Dukh Ki Raat Hoon Aisi
Movie Name
: Non Filmi
Music Director
: I don't Know
Music Company
:
Singer
:
Picturised On
:
Song Type
: Ghazals
Release Date
Movie Year
: 1940
Views
:


Singer :Talat Mahmood; Lyrics:Shakeel Badayuni; Non-Filmi Ghazal

main dukh ki raat hoon aisi
savera door hai jis ka-2

hai meri raah bhuli si
qadam bhi dagmagate hain
mere sapne adhure se
mujhe reh-reh bulate hain
main panchhi pankh bin aisa
basera door hai jis ka

ye meri zindagi guzari hai
toofanon ke seene se
jawani bujh gai hai gham ke
khaare ashq peene se
main gham ka voh samandar hoon
kinara door hai jis ka

*******************************************
गायक: तलत मेह्मूद शायर: शकील बदायुनी

मैं दुख की रात हूँ ऐसी
सवेरा दूर है जिसका-2

है मेरी राह भूली सी
क़दम भी डगमगाते हैं
मेरे सपने अधूरे से
मुझे रह-रह बुलाते हैं
मैं पंछी पंख बिन ऐसा
बसेरा दूर है जिसका

ये मेरी ज़िंदगी गुज़री है
तूफ़ानों के सीने से
जवानी बुझ गई है ग़म के
खारे अश्क़ पीने से
मैं ग़म का वो समन्दर हूँ
किनारा दूर है जिसका
---------------------------------------------------------------------
[submitted on 31-May-2011]