Ai Pardanashin Ye Ishq Kahin ( Teerandaaz - 1955 )
Song Name |
: Ai Pardanashin Ye Ishq Kahin |
Movie Name |
: Teerandaaz |
Music Director |
: C.Ramchandra |
Music Company |
: |
Singer |
: |
Picturised On |
: |
Song Type |
: Happy |
Release Date |
: |
Movie Year |
: 1955 |
Views |
: |
Singers: Lata & Chorus
Lata: ai pardaanashin, ye ishq kahin, pardon men chhupaaya jaata hai
naadaan kahin, in sholon ko, seene men dabaaya jaata hai
Chorus: aa~ aa~~ aa~~~
Lata: pardon men abhi hone de jawaan, andaaz ye teerandaazi ke
andaaz ye sab rah jaate hain, jab teer chalaaya jaata hai
Chorus: ai pardaanashin.............
Lata: maana ke zabaan khaamosh rahe, aankhon pe magar kaabu kis ka
maana ke zabaan khaamosh rahe, aankhon pe magar kaabu kis ka
afasaana-e-dil honthon se nahin, aankhon se sunaaya jaata hai
Chorus: ai pardaanashin.................
Lata: is aag ka bujhana mushkil hai, is raaz ka chhupana mushkil hai
hote hain jahaan bhar men charache, jitana ye chhupaaya jaata hai
Chorus: ai pardaanashin..............
*******************************************************