Raheti Nahin Hamesha ( Teerandaaz - 1955 )

Song Name
: Raheti Nahin Hamesha
Movie Name
: Teerandaaz
Music Director
: C.Ramchandra
Music Company
:
Singer
:
Picturised On
:
Song Type
: Happy
Release Date
Movie Year
: 1955
Views
:


Singers: Lata & Chorus

Lata: raheti nahin hamesha, ye chaand ki jawaani
ji bhar ke aish kar le Chorus: ji bhar ke aish kar le Lata: jab tak hai zindagaani, jab tak ye zindagaani

Chorus: aa~ aa~~ aa~~~

Lata: guzare jo mastiyon men achchhi vahi ghadi hai
varana ajal to kab se peechhe tere khadi hai

Chorus: aa~ aa~~ aa~~~

Lata: jab tak chale chalaa le ye saans ki kahaani
ji bhar ke aish kar le Chorus: ji bhar ke aish kar le

Lata: jab tak hai zindagaani, jab tak ye zindagaani

Chorus: aa ~aa~~ aa~~~

Lata: ye khwaab hai sunehara, rangin hai ye dhoka
mat chhod zindagi ka koi hasin mauka
aayega haath phir na, baheta hua ye paani
ji bhar ke aish kar le

Chorus: ji bhar ke aish kar le

Lata: jab tak hai zindagaani, jab tak ye zindagaani

Chorus: aa~ aa~~ aa~~~

Lata: rahati nahin hamesha, ye chaand ki jawaani
ji bhar ke aish kar le Chorus: ji bhar ke aish kar le jab tak hai zindagaani, jab tak ye zindagaani

*******************************************************