Badi Bewafa Hai ( Teerandaaz - 1955 )

Song Name
: Badi Bewafa Hai
Movie Name
: Teerandaaz
Music Director
: C.Ramchandra
Music Company
:
Singer
:
Picturised On
:
Song Type
: Happy
Release Date
Movie Year
: 1955
Views
:


Singers: Lata & Chorus

Lata: badi bewafa hai, udati hawa hai
badi bewafa hai, udati hawa hai
ye zindagi saaqia

Chorus: aa~ aa~~ aa~~~

Lata: vo duniya kahaan hai, milati jahaan hai,
dil ki khushi saaqia
dil ki Kushi saaqia

Chorus: aa~ aa~~ aa~~~

Lata: dekha hai ham ne, din raat pee ke
nikale na phir bhi, armaan ji ke
jhooti hai saaqi, mai ki ye masti
roshan ho kaise, phir dil ki basti

Chorus: jhooti hai saaqi, mai ki ye masti
roshan ho kaise, phir dil ki basti

Lata: yahaan na vahaan hai, jaane kahaan hai,
vo roshani saaqia
vo roshani saqia

Chorus: aa~ aa~~ aa~~~
badi bewafa hai.................

Lata: sheeshe men jo hai, vo to hai naqali
kahaan pe chhupa ke, rakhi hai asali
aankhon se apani, ik jaam de de
betaab dil ko, aaraam de de

Chorus: aankhon se apani, ik jaam de de
betaab dil ko, aaraam de de

Lata: tadapa rahi hai, rah rah ke dil ki ye bekali saaqia
ye bekali saaqia

Chorus: aa~ aa~~ aa~~~ *******************************************************