Ye Kaisi Khushi Ye Kaisa Nasha Hai ( Shagoofa - 1953 )

Song Name
: Ye Kaisi Khushi Ye Kaisa Nasha Hai
Movie Name
: Shagoofa
Music Director
: C.Ramchandra
Music Company
:
Singer
:
Picturised On
:
Song Type
: Happy
Release Date
Movie Year
: 1953
Views
:


[singer:- Lata ]

jawaab aata hai jab dilbar ka
to dil kho hi jaata hai
mohabbat wo nasha hai
be-piye jo ho hi jaata hai

(ye kaisi khushi hai, ye kaisa nasha hai
mujhe kya hua hai, mujhe kya hua hai) /-2

qadam dolaten hain, nazar jhoomati hai /-2
tasavur men jaise zameen ghoomati hai /-2
khayaalon men koi chala aa raha hai
mujhe kya hua hai............

aa aa aa aa ~~~~ laa laa laa laa~~~~
(khabar dil-ruba tere aane ki aayi
mohabbat ki duniya men chhalki surahi) /-2
mera dil hawa men uda jaa raha hai
mujhe kya hua hai...............

******************************************