Ghar Aaya Mehmaan ( Udan Khatola - 1955 )

Song Name
: Ghar Aaya Mehmaan
Movie Name
: Udan Khatola
Music Director
: Naushad
Music Company
:
Singer
:
Picturised On
:
Song Type
: Happy
Release Date
Movie Year
: 1955
Views
:


[singer:- Lata Mangeshkar & Chorus]

lata:
ghar aaya mehamaan koi jaan na pahachaan, bane baalama
o bada zaalama ho bada zaalama

Chorus:
o ghar aayaa mehamaan
ghar aayaa mehamaan koi jaan na pahachaan, bane baalama
o bada zaalama, ho bada zaalama

lata:
pahale nainan men, phir man men aayaa
chaandani mere jeevan men laaya ho

Chorus:
pahale nainan men, phir man men aayaa
chaandani mere jeevan men laaya ho

lata:
o~ o~ chanda ki khidaki se dekhe jo ghoor
khada dur, jiya chur

Chorus:
hoy chanda ki khidaki se dekhe jo ghoor
khada dur, jiya chur

lata:
mohe chhede har aan kare maan beimaan, bane baalama
o bada zaalama, ho bada zaalama
ho ghar aaya mehamaan....................

lata:
o~ kare natkhat ishaaron men batiyaan -2
jiya dhadake mora -2
phadake ankhiyaan

Chorus:
o~ phadake ankhiyaan

lata:
o~ o~ phadake ankhiyaan

chorus:
kare natkhat ishaaron men batiyaan ho jiya dhadake mora, phadake ankhiyaan,

lata:
o~ o~ laage na manava pe biraha ka teer
bahe neer uthe peer

chorus:
hoy laage na manava pe biraha ka teer
bahe neer uthe peer

lata:
kahin jaaye na jaan
main naadaan hun anajaan, bane baalama
o bada zaalama, ho bada zaalama

chorus:
o ghar aaya mehamaan
ghar aaya mehamaan, koi jaan na pahachaan, bane baalama
o bada zaalama, ho bada zaalama******************************************